Tuesday, June 17, 2008

I Love You Maa


Chandni raaton mein jo taare honge,
unme se ek tara meri maa hogi,
jinke godi mein mere liye aaj bhi jagah hogi,


unki pyari aakhein mujhe dekhti hongi,
aur unki yaad mein bheegi meri palkein hongi

Thursday, June 12, 2008

Maa Tun chete Awno Hatdi na



Maa Aap Bahut Yaad Aati Hain. Sirf Eik Din Aap Mere Sapne Main Ayeen Phir Nahin Ayeen. Main Aap ke Gale Lag ke Bahut Roya Thaa.

Friday, June 6, 2008

Door Hoon Main Majboor Hoon Main

Ammi!!!!

Aansoo ke Bandh


Aaj ammi itni yaad aa rahi hain ke mushkil ho raha hai apne aap ko sambhalna. Bade bhai se phone per baat ki. Wo khud bhi depression main hain. Meri aahain sun kar woh bhi rone lage. Admi chahe jis umr main bhi ho maa ki zaroorat hamesha hoti hai.

Friday, May 30, 2008

Ammi Ki Yaad


Ammi aap mujhe chhor kar chali gain? Dil bahut ro raha hai. Mujhe aap ki zaroorat thi ammi. Mujhe bahat dard hai ammi, kise bataon? Aap ko to maaloom hai ammi, aap to dekh kar gain hain ;Kaun aadhi raat ko mere liye roye ga, duain mangega? Aah Maa!!
Posted by Picasa